YouTube se Paise Kaise Kamaye | YouTube se paise kamane ke tarike 2022
Aaj ke time pe YouTube har koi chalata hai chahe vo bacha Hoya bada
Sabhi log kuch na kuch video's YouTube par dekhte rahte hai
Aap ne bhi suna hoga ki log YouTube se paise bhi kamate hai
Par kaise,
Aaj ke is post me apko batane wala hu YouTube se paise kaise kamaye or
YouTube se paise kamane ke tariko ke bare me
To dosto Chaliye suru karte hai
1. YouTube kya hai
Dosto YouTube app ek video platform hai jaha par aap video ke jariye knowledge, le sakte hai or entertaining kar sakte h or kuch bhi apni problem ka solution pata kar sakte Ho
Jaise aap google par kuch bhi search karte Ho vaise hi aap YouTube par bhi kar sakte Ho
Bas farak itana hi hai ki
Google par aap article padate Ho or YouTube par video dekhte ho
2. YouTube se paise kamane ke tarike kon konse hai
Dosto YouTube se paise kamane ke mainly 4 tarike hai
1. Google Adsense
Dosto YouTube par sabhi YouTuber ka Pahala earning karne ka tarika google Adsense hi hota hai
Aap jabhi koi bhi video dekhte ho usse pahale ek chota sa add aata hai or use aap skip karte Ho
Usi add ki madat se YouTuber paise kamate hai
YouTube unhe paise deta hai
Par YouTube ka ek condition hota hai
Jab aapke YouTube channel par 1000 subscriber or 4000 ganto ka watch time Pura Ho jata hai Uske bad hi apka google Adsense approved kiya jata hai
Or Uske bad aap paise kama sakte Ho
Or Ye paise aapke bank me aate hai apko apna bank add karna hota hai
To dosto Ye hai pahla tarika ab baat karte hai 2 tarike ke bare me
2. Sponsorship
Dosto sponsorship se YouTubers , bloggers, or instagram ke log
Ye sabhi log sponsorship se paise kamate hai
Sponsorship kya hota hai
Dosto sponsorship me aap kisi bhi Brand or products or apps ka promotion karke paise kama sakte hai
Or aapne bahut se YouTuber ko kisi bhi video ke bich me kisi brand ya apps ka promotion karte dekha hoga or suna hoga ki link description box me hai
Or aap us link se us brand ya app ke website par ja sakte ho
Or kuch YouTubers ke video me side me likha bhi aata hai jab vo us app ya brand ka name lete hai or kuch YouTubers to Pura video hi us app ya brand par banate hai
To dosto Ye that 2 tarika YouTube se paise kamane ka
3. Affiliate marketing
Dosto affiliate marketing ke bare me apne suna hi hoga
dosto Affiliate Marketing ek online business hai
Is business me aap online products ko sell karke paise kama sakte Ho
Affiliate marketing me aap amazon or filifkart jese website ke product ko sell kar vake commission kama sakte Ho
Aap apna YouTube subscribers ke sath koi bhi product share kar sakte Ho
Jaise ki Agar aapne koi bhi product amazon ya fir kisi or site se buy kiya or vo product apko acha laga to aap apne fans ke sath share karke paise kama sakte Ho
Agar aapka fan apki link se koi bhi product buy karta hai to apko commission milta hai
Kitna commission milta hai vo company pe depend karta hai
Or affiliate marketing aap koi bhi social media par kar sakte Ho
YouTube par log phone ka laptop ka earphones ka or bhi products ka review karte hai or us product ka affiliate link apne description box me dal dete hai
Or unka subscriber vaha se buy kar sakta hai
To dosto Ye hai 3 tarika YouTube se paise kamane ka
Ab ham baat karege Sabse aakhri tarike ke bare me
4. Course Selling
Dosto YouTube par log apna online course bhi sell karte hai
Par is tarike ka use bahut kam log karte hai
log kisi bhi filled me grow hone ke bad apna course banate hai or fir sell karte hai
Ha par stating me aap Ye nahi kar sakte Ye bad ki baat hai par log isse bhi paisa kamate hai
To dosto Ye hai vo 4 tarike jisse log YouTube se paise kamate hai or aap bhi kama sakte Ho
Dosto umid hai aaj ka Ye post apke liye helpful sabit hua hoga or apko kuch sikhne Mila hoga
To please is post ko kisi bhi ek friend ke sath share jarur karna taki uski bhi help ho sake
Thanks for reminding 🙏